BAAL SHRM PAR KAVITA
Rahbaro dekho tumhare desh mein.....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein...
Hai umar jiski khilone khelne ki....
Vo khilone bechta bazar mein....!!!
Rotiyon ka bhoj us par aa gaya...
Jab samay khilne ka tha murjha gaya....
Aajkl vo mukhiya hai pariwar mein....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein....
Rahbaro dekho tumhare desh mein....!!!
Rail ke dibbe ki saari gandagi.....
Saaf krne ko smjhta hai bandagi....
Jhidkiyan milti hai usse uphar mein....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein....
Rahbaro dekho tumhare desh mein....!!!
Bachpan gujre jamaana ho gaya......
Karkhane mein hi sayaana ho gaya....
Chutti bhi milti nhi itwar mein....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein....
Rahbaro dekho tumhare desh mein....!!!
Do dino se usne kuch khaya nhi....
Phir bhi usne haath failaya nhi....
Kitni khuddaari hai uss kirdaar mein...
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein....
Rahbaro dekho tumhare desh mein....!!!
Desh ki sansad jra tu sharam kr...
Or amiri dekh tu bhi soch kr......
Kutte billi ghumte hai car mein....
Or vo khilone bechata bazar mein.....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein....
Rahbaro dekho tumhare desh mein...!!!
Ek vigyapan croron mein chappa.....
Baal shrm kanoon tha jis par likha....
So rha tha lipta usi akhbaar mein.....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein....
Rahbaro dekho tumhare desh mein...!!!
Ek vigyapan croron mein chappa.....
Baal shrm kanoon tha jis par likha....
So rha tha lipta usi akhbaar mein.....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein...
Rahbaro dekho tumhare desh mein....!!!
Uske bachpan ko bacha lo dosto.....
Hai bahut naajuk sambhalon dosto....
Kho na jae loriyan dutkaar mein.....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein.....
Rahbaro dekho tumhare desh mein......!!!
Thanks to -- Sudeep Bhola Ji
minakshihind.blogspot.com
Rahbaro dekho tumhare desh mein....!!!
Uske bachpan ko bacha lo dosto.....
Hai bahut naajuk sambhalon dosto....
Kho na jae loriyan dutkaar mein.....
Kastiyan bachpan ki hai majdhar mein.....
Rahbaro dekho tumhare desh mein......!!!
Thanks to -- Sudeep Bhola Ji
minakshihind.blogspot.com
Comments
Post a Comment